SMS collection

Senoreta Feb 15, 2008

Dar dar bhatakte hai arman ki tarha,
Har koi milta hai anjaan ki tarha,
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhna,
Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha,

Uthetay hai jab ye haath dua ko,
Rab se tere liye hi faryaad karte hai,
Tum humain bhula bhi do to kya,
Hum to tumhe har pal yaad karte hai.

Apne aaghaz se ajj tak zindagi teri hi yaad mein gum
hi rahi... Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai Jaise
chahat meri kam hi rahi !

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai mere pyar mein itna dum,
Teri aankh ka aansoon aapni aankh se gira sakta hoon.

Tere Pyar ne zindagi se pehchaan karai hai,
mujhe wo toofano se phir lauta ke laayi hai,
Bas itni hi dua karte hain khuda se hum,
Bujhe na yeh shama kabhi jo humne jalai hai.

Dhadkano ko sunkar bhi tumhe pyaar ki khabar nahi
hoti...
Kya mahsoos karoge tum dil ka dard,
dil tutne ki to awaz bhi nahi hoti.

Phoolo se poocho is main singhar kitna hai?
Mere dil se poocho is main pyar kitna hai?
Saye ki tarha tumhara pyaar saath rehta hai...
tumhare saath guzra hua har lamha yaad rehta hai.

Tagged with

(1) Comments

  1. manna Feb 15, 2008

    good collection, nice sms.
    Yours mannu