Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr€ ¦ gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar€ ¦ tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay€ ¦ yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

