Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr€ ¦ gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar€ ¦ tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay€ ¦ yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa€ ¦ haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar€ ¦ tha
Yeh baat umer bhar samjh na paayi may
Kyun Dil mera us ka€ ¦ talabgaar tha












Replies:
Post new comment