Devdas" ko "paaro" ne nakam kar diya
Sharabi" ko "sharab" ne badnam kar diya
Mahobbat" ho ya "sharab", dono ka asar dekh lo
Devdas" aur "sharabi" ka, eksa "anjaam" kar diya
Bahut peete the hum
Mahobbat ne kasam dilaake chhudaadi
Bahut peete the hum
Usne kasam dilaake chhudaadi
Yaaron ke sang baitthe the
Mahobb at ki kasam dilaake pilaadi
Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota
Sharaab kam tha to paani mila diya hota
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha
To muskura kar sar hi hila diya hota
Maikhane saje the,Jam ka tha daur
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur
Jam me gum tha mere armano ka
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur
Maikhane mein baithe hai peene ek
Jaam tere naam ka teri aahosh mein
Jo peene lage,toh phir hisaab hee na
Raha shaam ka,kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,sharab bina maikhana
Aur sajni bina sajan,na kisi kaam ka
Log peete hai sharab mehkhane ja ja kar
pee hai jo do pal mein utar jayegi
humne to pee hai apne mehboob ki
Aankho se,jo umar bhar naa utar payegi
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Tapak rahi hai sharaab ki bondein paani ki tarah
Dil bhar gaya hai mera dard ke samandar ki tarah
chaah kar bhi nahi bhula pate tujhe hum
Teri yaadon ke sahare ruk nahi sakte peene se hum
Khuda ne sharaab jo banai peene ke liye
To piya kyun na jaye,duniya banai jeene ke liye
To jiya kyun na jaye,mahobbat ne diya mauka
shayari karne ka
To phir shayari kari kyun na jaye
Nasha-e-nazro ki shokhiyan jab chalti
Hai Kya halat hoti hai dil ki,
Kar lo nashaa-e-muhabbat,
kya zaroorat hai sharab-e-jaam peene ki
Chalikaaye jaa Aankhon Se Sharaab Aur Ziada,Allah Kare Badhe Tera
Shabaab Aur Ziada,Khilte rahe honthon ke,Gulaab Aur Ziada
Maikhana badalne se,na badle sharaab,Nasha
Na ho to shaqiii kharaab,Jab kaddam badhh hi
Gaye mehkhane ki taraff aye dost pyaare to
Dubbo de gam-e-zindege ke aaj yahan gum saare
Saqii Bus To Itna Sa Kaam-kar,
Ye Sare Ilzaam Mere Naam-kar..
1-2 Paimane Se Mera Kya Hoga,
Sara Maikhana Mere Naam-kar












Replies:
Post new comment