tanhaayi, sangdil tanhaayi, sang laayi yaad teri sang laayi baar baar woh bahaar phirse yaad aayi sooni sooni raah dil ki jisane thi sajaayi tanha dil (roya re... dil roya re - 4)
har taraf bikhare hai teri yaad kehi nishaan meri har ek cheez mein hai teri hi parchhaayiyaan tu hi hota hai, tu hi rehta hai mujhme har dum sada paas bhi tu hai, door bhi tu hai yeh kaisi khala yaad banke ashq teri aankhon mein samaayi yaad banke ik hansi honton pe bhi aayi tanha dil (roya re... dil roya re - 4)
chaand suraj bhi wahin hai, hai wahin aasmaan zindagi bhi chal rahi hai, chal raha hai jahaan main hi thehra hoon khud mein simta hoon, dil hai ghum se bhara bin tere kaise jiyu main, kuchh toh de mashwara zindagaani aisi rehgujar pe mujhko laayi saaye se bhi abb tere ho gayi judaayi tanha dil (roya re... dil roya re - 4)
(anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane darr jaata hai kyun paake khushiyaan yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin) - 2
kabhi baahon mein hai duniya kabhi khaali khaali raahein kabhi barta hai dil thandi thandi aahein kabhi aankhon mein hai sapne kabhi palko pe hai aansoo yeh ishq dikhaaye kaise kaise jaadu kabhi dhoop kabhi barsaatein kabhi kabhi tanha tanah raatein mausam hai kitne aate jaate in wafaaon ke anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane darr jaata hai kyun paake khushiyaan yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin
milna hai pal do pal ka, phir lambi hai tanhaayi pachaayi se kat jaati hai pachaayi kho jaata hai woh chehara, bas aati hai aawaazein dil karata hai khud se hi aksar baatein wahin phiki phiki subahein, wahi bojhal bojhal shaamein mausam hai kitne aate jaate in wafaaon ke anjaana dil kya jaane, begaana dil kya jaane darr jaata hai kyun paake khushiyaan yeh jo main bekaraar hoon, har lamha ishq toh nahi yeh jo mujhe bekhudi si hai, tu jaise mujhmein hai kahin
Responses
Login to add comments on this post.